top of page
Search

INCREASING DO (DISSOLVED OXYGEN ) LEVEL IN FISH FARMING AND MAKE YOUR FISH MORE ACTIVE

Updated: Mar 1, 2024

Fish farmer Must read Desi Jugaad: Gardening Sprinklers Ka Magic Aquaculture Mein!



ree

Kaise Lagayein?


  1. Sprinklers Set Karo: Gardening wale sprinkle system ko aquaculture mein lagaye! Pond ke beech mein line se kam se kam 5 sprinkle systems set karein Jo sabhi side Gol Gol Pani ko feke.

  2. High-Capacity Pump: Ek accha aur powerful pump use karein jisse ki ye sprinkle system har kona tak paani pahuncha sake.

  3. Machhliyon Ka Khel-Kood: Sprinkler system chalu hote hi aap fish ko observe karenge aapki fish sprinkler water k spray ko chase karne ki koshish karegi. Iski vajah se vo Gol Gol ghumti rahegi. Sprinkler system se machhliyan paani ki boonden pakad kar khelti hain, jisse vo Khush aur puri Tarah se stress free rehti hain.

  4. Puri Tarah Se Active: Har kona mein paani pahunchne se machhliyon ka pura pond explore karna ek naya anubhav hota hai, jisse vo ek sprinkle se dusre sprinkler ki aur bhagti Hai. Isse uska Pura body Active rehta Hai.

  5. Digestion Mein Sudhar: Khel-kood aur fresh water ke behtareen milan se aapki machhliyon ka digestion system bhi sudhar jata Hai. Jitna dodegi Utna uska Khana Jaldi se pachan hoga




ree




Benefits of doing


  1. Tez Digestion: Khel-kood aur fresh water se machhliyon ki digestion speed double ho jaati hai.

  2. Zyada Khana: Active rehne se machhliyan zyada khana khayengi, jisse growth speed tez hoti hai.

  3. Oxygen Boost: Sprinkle system se dissolve oxygen level 50% tak badh jaata hai.

  4. Active Fish: Har kona mein paani pahunchne se machhliyan active rehti hain.

  5. Disease overcome : Swasth aur Active machhliyan infections se bachti hain.


For more tips and Desi techniques follow us at https://zexpetinternational.com #FishFarmHack #AquacultureMagic

 
 
 

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page